Youtube Channel kaise banaye apane PC/mobile se
Youtube ka short history_
Youtube America ka video dekhane wali ek website hai. Isse 14th, Feb 2005 me banaya gaya tha. Isse PAYPAL company me kaam kr rahe three worker CHAD HURLEY, STEVE CHEN aur JAWED KARIM ne milakar banaya tha.
Iss website ki lokpriyata ko dekhate huye GOOGLE ne Nov,2006 me $1.65 billion american dollar me kharid liya.
Yourube pr sabase pahala video upload kiya gaya, jisaka naam tha- 'Me at the zoo'. Iss video ki size 0.19 seconds hai. Iss video ko JAWED KARIM ne banakar 23th, Apr 2005 ko upload kiya tha. Isse aaj bhi aap dekh sakate hai.
Youtube aaj-kal_
Log aaj jitana youtube ke bare me janate hai, utani janakari 5-6 saal pahale nahi thi.
Pahale adhikatar log youtube ko keval video dekhane ka app samajhate the, aur adhikatar logo ko pata nahi tha, ki youtube se online earning bhi kr sakate hai. Lekin Aaj adhikatar logo ko pata hai, ki youtube se earning hoti hai.
Aap bhi part-time youtuber bn sakate hai. Yadi full-time youtuber banate hai, to bahut hi achhi incom kr sakate hai. Aap isse AS A CARRIER ke rup me choose kr sakate hai. Aaj bahut se youtuber isse achhi income kr rahe hai. Issake bare me jyada bataunga to topic lambi ho jayegi.
Aaj apane youtube channel ko monitisation karane me jo problem face karana padata hai, pahale aisa nahi tha, pahale log youtube pr channel banakar jaise hi video upload kr dete the. Aaj ke mukabale bahut hi km samay me channel monitisation ho jata tha. Aur income hona suru ho jata tha.
Aaj log vines, tech, photography, vlogging, news etc. ki videos banakar youtube pr upload kr rahe hai aur rupeeya kama rahe hai.
Agar aap bhi kisi topic pr channel banana chahate hai to koi baat nahi, mai aapko bataunga ki kaise youtube channel banate hai. Bs aapko step by step follow karana hai. Aapka channel bn kr taiyar ho jayega.
Youtube channel kaise banate hai_
● Sabase pahale aap apane PC/mobile me CROME browser open kre. Agar aap mobile se youtube channel bana rahe hai to desktpo mode me krle. Usake baad search bar me www.youtube.com search kare. Right side me upar sign in ke button pr click kre.
● Ab aap apana EMAIL ID aur PASSWORD enter kre. Usake baad NEXT button pr click kre.
● Ab apane ID ke icon pr click kre. Usake baad My Channel button pr click kre.
● My channel pr click karate hi, ek page khulega. Jisame aapka wo naam dikhai dega, jo Email ID banate huye naam dale honge. Aap chahe to iss naam se apana channel bana sakate hai ya isse badal bhi sakate hai. To mai iss naam ko badalne ja raha hu.
●Jaise ki, mai pahale box me TECH aur dusare box me ZONE dala hu. Aap apane hisab se jo naam pasand ho daal sakate hai. Usake baad CREATE CHANNEL button pr click kre.
NOTE:- Lekin aap kosish kijiye ki aapka youtube channel ka naam sabase alag ho. Kyounki aapke youtube channal ka naam sabase alag hoga, to ek alag pahachan banegi,
● Ab aap COSTOMIZE CHANNEL button pr click kre
● Ab aapka YOUTUBE CHANNEL banakar taiyar ho gaya hai. Ab aap isse costomize kr sakate hai.
Aasa karata hu ki aap achhi tarah se samajh gaye honge ki youtube channel kaise banate (create) karate hai. Agar youtube channel banane me kahi bhi koi problem hoti hai to aap hame comment box me bata sakate hai. Aapko answer dene ki puri kosish karunga.
Aage youtube ke bare me aur bhi topic pr post aati rahegi. Aur mai kosish karunga ki aapko behatar se behatar batau.
Leave a Comment