meta teg ko blogger me kaise add kare seo ke liye

Hello dosto kya aap ek new blogger hai. Dosto agar aapne koi blog banaya hai aur post likhane ki soch rahe hai, to aapko meta teg ke bare me janana chahiye kyonki meta teg aapki blog ki SEO (search engine optimisation) ke liye bahut jaruri hai.

Meta teg generate, meta teg ko blogger me kaise add karate hai

Meta tag kya hota hai

     Hello dosto mai aapko batane ja raha hu ki meta teg kya hota hai. Meta tag discription google search me SEO ka kaam karata hai. Isake dwara koi bhi search engine aapke blog ko pahachanta hai. Isse aapke blog ke post pr traffic achha aata hai. Aapka blog kis topic pr hai isaki janakari search engine ko bhi ho jati hai.

   Aap blog bana liye hai aur usapar kuchh post likh kr dale hai. Aur aap google pr search kr rahe honge, to search me aapka post nahi aa raha hoga. To aaj mai aapko batane wala hu ki kis tarah se apane post ko search me laye.

    Dosto keval achhe post likhane se traffic nahi aate hai, usake liye bahut kuchh karana padata hai. Aap apane post me meta teg discription add kr dete hai to ye discription hi search engine ko batata hai ki iss post me Kya hai. Iss liye post me meta tegs description likhana hota hai.

     Aap post ko like kr published kr diye hai aur search engine me search karate hai lekin aapka post nahi dikhata hai. Aapko pata hona chahiye ki jis topic pr aap post likhe hai, uss topic pr pahale se bahut se post hai. Aapne pane post ka SEO nahi kiye hai. Isse aapke post search engine nahi aa sakata aur traffic hi nahi aayega, aur aapka income nahi ho sakata hai.

     Aaj comptition ki duniya ho chuki hai. Apane post me achhe se meta teg discription add karenge tabhi aapka post 1st page me show hoga.

     Aisa karana kyon jaruri hota hai? Kyonki jb koi visitor search engine me kisi post se releted keywords search karata hai. To wh 1st page pr dikhai dene wala post ko hi padhate hai. Koi visitors 2nd page pr jaldi nahi jata hai. Iss liye meta teg ko add karana jaruri ho jata hai.     Hm apane post me kya likhate hai, hame pata hota hai lekin search engine keval HTML, CSS, etc. code ko hi padh pata hai.
meta teg generate kaise kare, meta teg kaise add kare
     Isame sabase pahala line title hai. Dusara line blog ka URL hai aur usake niche meta teg discription hai. Ye meta teg discription ek code me likha rahata hai, jisako search engine (google) sabado (word) me badalkar visitors ke samane rakhata hai. Jisako visitors padh pate hai ki iss post me kya hai.

     Aur jb visitors ke ichha anusar us post me janakari dikhai deti hai to visitors uss post pr click karate hai. Aur aapki post ki traffic badhati jati hai. Meta teg ke code ko theme me add karate hai. Aur isse search engine padhata hai aur samajh jata hai ki post me kya-kya hai.

Meta tegs kaise banate hai?

Meta teg ke code ko banane ke liye kuchh bato ko samajhna bahut hi jaruri hai. Isake liye niche diye gaye topics meta tegs generator tool me bharani hai.

Description:- Meta teg banane ke liye discription ka hona bahut hi jaruri hota hai. Isse 150 sabado me aisa likhani hai ki aapke blog ke bare me puri janakari ho. Jis topic pr aapka blog ho, wahi likhani hai.

Keywords:- Aapake keywords aapke blog se related keywords hone chahiye, jo aapke blog ke main keywords ho. Jaise mera blog tech se related hai to mai keyword rakha hu- technology, online earning, computer, social apps, etc.

Author:- Isame aap apana naam ya blog ka naam daale. Aap chahe to isse khali bhi rakh sakate hai.

Robots:- Robots google ko batata hai ki aapke blog ke kin-kin chijo ko search me laye. Mai kahunga ki aap isse ALL pr hi rahane de.

     Ab aap👇

META TEGS GENERATOR TOOL

ko open kare aur iss tool me diye gaye box me sahi-sahi janakariyo ko bhare. Aur CREATE METATEGS ki button pr click kre. Ab aapka code generate ho chuka hai. Aap isse code ko pura copy kare.

Meta teg kaise add karate hai apane blogger me?

Ab aap apane blogger.com ko open krke usame apana blog open kare.

     ●Ab Blog ke theme button pr jake Edit HTML pr click kre.


     ● Ab aapko apane theme ke HTML code me <head> search karana hai. Aur ek enter marana hai. Phir usme copy kiya huaa code ko <head> ke niche peste kr dena hai. Aur save theme pr click kr dena hai.

     Ab to aap samajh gaye honge ki meta tegs kya hota hai, meta tegs kaise banate hai aur kaise blogger me add karate hai. Phir bhi agar kahi koi dikkat hoti hai to hamase samapark kr sakate hai. Comments kr sakate hai.

No comments

Theme images by merrymoonmary. Powered by Blogger.