Blogger theme ki HTML code ko apane mobile me kaise edit kre


Blogger theme ki HTML code ko apane mobile me edit kre

     Jb aapke pass koi computer ya laptop hai to HTML code ko badi aasani se edit kr sakate hai. Lekin baat aati hai jb aapke pass computer ya leptop na ho. Ya aap kahi aisi jagah pr ho, jaha leptop nahi le ja sakate.

     To mobile se HTML ko edit kr sakate hai. Lekin Blog ka HTML code ko mobile se edit karana khuchh musakil ho jata hai. Kyonki mobile me HTML ko edit karane pr mobile hang hone lagata hai aur usame search box bhi nahi hota hai.

     To aaj mai aapko ek aise app ke bate me bataunga, jisaki madad se aap HTML, CSS, XML, TXT files ko edit kr sakate hai badi aasani se. Kyonki ess app me CODE ko edit karane pr mobile hang nahi hota hai aur isame SEARCH BOX bhi milata hai. Waise to HTML code ko edit karane ka bahut se app hai. Lekin mai jo app bata raha hu, ye bahut hi workking hai. Ye offline kaam karata hai. Iss app ka naam hai DROID EDIT APP. Aap isse Play-store se Download krle. Kyonki code edit issi me hoga.

     To chaliye mai aapko step by step bataye, ki kaise kisi code ko edit karke modify kr sakate hai, aur apane blog ko ssudhar sakate hai.

     ●Sabase pahale apane mobile ke Crome browser me apana blog login kre. Apane blog ke dashboard me jaye, aur THEME ke button pr click kre. Usake baad EDIT HTML ke button pr click kre.

     ● Ab aapke samane HTML ka code khul kr samane aa jayega. Total HTML code ko select kr le aur CUT kr le.


     ● Ab aap code editor (Droid Edit) app khol le. Droid app aisa dikhata hai.

     ● Jaise hi aap code editor app pr click krenge. Aapke samane ek blank (khali) page aa jayega. Blog theme ki select kiye huye HTML code ko isame paste kre. Blue colour me hai.

     ● Ab aapko jo bhi edit karana hai. Aapko iss app me search box milata hai. Usame koi bhi word likh kr search kr sakate hai. Aur code ke uss hisse me pahuch sakate hai, jaha aapko edit karana hai. Jaisa ki maine example ke liye <head> search kiya hu. Aur code me <head> blue colour me highlight ho gaya hai. Jb aap HTML code ko achhi tarah se edit karke modify kr liye hai to total code ko select krke copy kr le.

     ● Ab apane blog ke deshboard me aa jaye. Usake baad selected HTML code ko Theme box me paste kre. Usake baad SAVE THEME button pr click kr de.

     Ab aapka HTML code editing ka kaam bahut hi aasani se ho gaya. Mai ummid karata hu ki Iss post se aap kuchh samajh paye honge. Aap comment box me bataye.

No comments

Theme images by merrymoonmary. Powered by Blogger.