Blog post me font ko kaise change kare

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika
Font change in post

Blog post me font ko kaise change kr sakate hai aasani se CSS code ki sahayata se

Hello dosto,

     Mai aaj aap logo ko batane ja raha hu ki blog me font kaise change karate hai. jb aap post likhate hai to usake style (font) ko change karane ke liye blog me by-defualt 7-8 font hi diye rahate hai. Aur wo bahut hi simple hote hai. Yadi aap chahe ki stylish tarike se likhana to nahi likh pate hai. Kyonki blog me font simit hi hote hai.

     Font ke use se hamara blog bahut hi sundar lagata hai aur ye dusaro ke blog se alag dikhata hai.

     Dosto mai aap logo ko bahut hi aasan tarika bataunga. Jisase aap bhi apane blog me font ko use karake apane blog ke post ko dundar bana sakate hai.

     ●Isake liye aapko apane desktop ya mobile ke crome browser me apane blog ko open kr lena hai. Ab jis bhi post ke articles ke FONT ko change karana hai. Usapr click kr de. Jaisa ki niche dekh sakate hai.

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika

     ●Isake baad two button (Compose/HTML) dikhai dega "HTML" button pr click kare.

NOTE:- Hm GREEN COLOUR ke area ke font ko change karenge.

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika

     ● Jaise hi aap HTML button pr click karenge. Aapke post ka html code dikhai dene lagega.

     NOTE:- Ab upar wale image me dekhiye. Green area me likha huaa hai "Dosto kya aap jante hai..... madhyam se bhej sakate hai."

     Aapko html code me dekhana hai ki kaha likha huaa hai us post ka line,  jisaka font change karana hai. Jaisa ki upar green colour me dikhaya hu. Aapka jo post hoga usake hisab se dekh lijiyega.

     Niche ki image me dekhe. Box me 'dosto kya aap jante hai' se pahale style="isake bich ke word ko delete krna hai"> likha hoga. Dono invarted comma " " ke bich ka total code (font-family) se lekar (;) tk select krke delete kr de.

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika

     ● Ab aapko Crome me hi next window kholna hai. Usame type kare GOOGLE FONTS. Bahut se font show ho jayenge. Ab jo bhi font aapko achha lage, Usake red colour ki + icon pr click kre. Jaise mai select kiya hu- srisakdi font

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika

     ● Ab select kiye huye font ka ek HTML aur CSS code khul kr samane aa jayega. Niche ki area me CSS code hai. Usako select kr lena hai. Jaisa ki mai font select kiya tha srisakdi. Isaka CSS code hai-

 font-family: 'srisakdi', cursive;

     ●Isako copy karenge aur 

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika

     ● Blog ke window me jayenge. Aur jaha se pahale wale code ko delete kiye the wahi iss CSS code ko paste kr denge.

NOTE:- Blue colour me dikhaya gaya hai.

     Phir COMPOSE button pr click kr de.

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika

     ● Jaise hi aap compose button pr click karenge aap blog ki post list pr chale jayenge. Ab aapka font change karane ka kaam khatam ho gaya. Ab aap phir se us post pr click kre jis post ke articles ke font ko change kiye the.

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika

     ● Dosto ab aapka font puri tarah se change ho chuka hai. Aap niche dekh sakate hai.

 font kaise change kare, blog post me font kaise change kare, font change karane ka tarika

     To dosto aap samajh gaye honge ki blog ke post me kaise stylish font ko add karate hai. Agar kahi bhi koi dikkat hoti hai to aap comment me hmse puchh sakate hai. Aur kaisa laga mera ye post, aap comment me bataye.


No comments

Theme images by merrymoonmary. Powered by Blogger.